Print Page | Close Window

Dua

Printed From: IslamiCity.org
Category: Religion - Islam
Forum Name: Quran & Sunnah
Forum Description: Understanding Quranic ayat and Sunnah
URL: https://www.islamicity.org/forum/forum_posts.asp?TID=40019
Printed Date: 21 November 2024 at 9:35pm
Software Version: Web Wiz Forums 12.03 - http://www.webwizforums.com


Topic: Dua
Posted By: Aishashk
Subject: Dua
Date Posted: 21 September 2017 at 1:09am
Salaam to all,

i m new to this website hence yet to learn how to operate. i have compiled this dua as i have seen most of us dont know how and what to ask Allah. i hope this will be helpful for others.if any mistake pls forgive me
------------------------------------------------

DUA
----

Ae mere Allah! hum tere aajiz bande, tere darbaar me, teri paaki bayaan karte hain aur teri bargah me haath phailaye tujse faryaad karte hain ke -
Ae mere Ma'bood, Ae saare jahan ke Rab, Ae mere Parwardigar, hume zindagi dene wale, rozi dene wale , izzat dene wale, logo ko milane or juda karne wale, dilo me mohabbat paide karne wale, sabki faryaad sunne wale, ae mere khuda, beshak mai (hum) is baat ki dil se gawahi deti hu (dete hai) ke tu hi hamara Rabb hai aur tere siwa koi ibadat ke laik nahi aur hamare nabi e kareem s.a.w tere rasool hai.

Ae Badshaon ke Baadshah ek baar pukar ne se sattar bar jawab dene wale Khuda, Ae Rabbe Kareem, hum sab musalmaan gunahon ke samander mein doob chuke hain, Ae mere Rehmaan! apni rehmat ki rassi dal kar hume khinch le. � Ameen

Mere Ma'bood, hum tere bande , duniya bhar me takleefo me hai, pareshaan haal hai, zulmo sitam ke shikaar hai. hum itni ta'daad me hokar bhi kamzor hai, laachar hai. hum sab ek khuda ko pukaarne wale, uske aage jhukne wale hai, phir bhi ek nahi. hum ek nabi ke ummati hai, phir bhi ek nahi. Kahi firqo me bante hai, kahi hukumat ke waste. kahi aapas me ek dusre ke khoon ke pyase ho rahe hai, kahi zalimo aur kafiro ke shikaar.Allah duniya bhar me hamare bhai, behan, burzurg, bacche mar rahe hai , beghar ho rahe hai, bhook pyas se tadap rahe hai aur hum chahkar bhi kuch nahi kar sakte, Dushman din-ba-din apna jaal phaila raha hai. Allah hum par rehem kar, hume bacha le. tu to sabse bada hai, har shai par qadir hai,teri taaqat ke aage koi nahi, tera hukum sab par par hai. Dushman tere aage kuch bhi nahi.....

Mere Allah! humne teri bahut nafarmaniya ki, apni jaano par zulm kiya aur gunah mol liye. Ae mere Maula, hum ikraar karte hai ke hum gunahgaar hain, khatakaar hain, siyakaar hain, doobi hui zillat mein hain, magar tere mehboob ki ummat mein hain, hum apne gunaho ke bojh se dabe hue hain, par teri rehmat to hamare guanaho se kahi zyada badi hai, hum par rehem kar ae Gafoor-ur-Raheem, hum par karam kar Ae Rabbe Kareem, tune hi apni kitab me humse kaha hai ke teri rehmat tere gazab par ghalib hai, to mere Rehman apni rehmat se hum sab musalmano ko is bojh say azad karde..hamare sagira, kabira , zahir aur batin, tamam gunahon ko maaf karde aur jo gunah jaan bujh kar kiye hai aur jo anjane mein hue tu un sab ko maaf karde � Ameen

Ya Rab, agar tu hamari maghfirat farmaye to teri badshahi me kuch bhi kam na hoga aur agar tu hume azaab de to teri shaan aur shaukat me kuch bhi zyada na hoga.Mere Maula, gunaho ke liye tuje koi aur mil jayega par hamare gunah maaf karne ke liye tere siwa kaun hai mere Malik ? Hamare liye to sirf tu hi hai aur hum hargiz kisi aur ke pas na jayege. Tere maaf kar dene se hum kayi azaab, kai takleefo se bach jayege aur tu apne bando par rehem hi karta hai.- Ameen.

Ae Allah! hum jaise bhi hai, tere bande hai, tere siwa kise pukare, kaha jaye, tu haqiqat me hame apna le � Ameen

Ae mere Allah! hum sab musalmano ko 1 karde, ham firko me na bate.hum sab ek taqat bankar dushmano ka samna kare.Allah tune hum sab musalmano ko ek hi dor me bandha tha. humne hi us dor ko tod diya aur apas me bat te chale gaye. aur aj hum pachta rahe hai. Allah hume phir se usi dor me bandh de, hum sab musalmaan ek dusre ka sahara ban jaye.- Ameen

Ae Allah! Ham sab musalmano ko namaz ka paband bana de aur ham sabki ibadato ko qubool kar le! Allah hum dinbhar me kitni khataye karte hai par bas tu inhe darguzar farma� Ameen

Ae Allah! Rabbul Alameen, Hame Quran padne ki aur samjhne ki Taufeeq ata kar.. aur Quran samaj kar us par amal karne ki taufeeq ata kar.� Ameen

Allah hum khoob nekiya kare taake hamare nek amaal hamare gunaho ke andhero ko mita de.Allah hum sabko nek karde,hum sabko ek kar de -Ameen

Ae Allah! hamari badkariyo ko badkaro mein likha ho to apne fazlo-karam se mita de aur tune hamari takdeer mein bura likha ho toh use door karde.Ae mere pyare Parwardigaar, hum sab ke naseeb khol de! �Ameen

Ae Allah! Ae Zuljalal, hame bhatke hue logo me na daal, hamain seedhe raste par chala ..us raste par jis par tune apni raza rakhi hai..na k us raste par jis par teri narazgi ho.� Ameen

Ae Allah! hume jhoot, fareb, hasad,nafrat, keena, in sabse door karde. Allah hume khushiya de. - Ameen
Ae Allah! Hume jahiliyat ke andhero se nikal, hume ilm ki roshni de.hamare aamaal dusro ke liye misaal bane.- Ameen.

Ae Allah! Hame iqhlaas naseeb kar.hume apne pasandeeda bando me shamil karde� Ameen

Ae Allah! Hame shirk aur bid'at se bacha le. Hum sab musalmaan sirf teri hi ibadat kare aur tuji se maange. Parwardigaar mere, musalmaan hi kyu, tera har banda sirf teri hi parastish kare na kisi buth ya shaitan ki.� Ameen

Ya Rabb, hamare tamaam dukh dard aur sadme door karke hamare gharo ko abaad rakh.hamare gharwalo mein sabme sachi mohabbat ata kar.Hamari aurato ko hidayat de. - Ameen

Ae mere Razzak ! hum sab musalmano ke gharon mein barkat de, rizq de. hame haram chizon se bachate huve, halal chizein itni kafi karde ki hum haram chizon se beniyaz ho jaye � Ameen

Ae Allah! Malik-e-do jahaan, hamara har qadam teri raza me uthe..hamara har amaal teri khushnodi ka baais bane..hamara chalna, uthna, bhaitna, khana, peena, bolna aisa bana jaisa tu chahta hai..�Ameen
Ae Allah! Hame apne siwa kisi ka mohtaj na kar, hum Marte dum tak kisi ke liye bhi bojh na bane.Kisi ko hamari wajah se koi takleef na pahunche! Kisi ke bhi dil me hamare liye jo bhi keena ho use door kerde - Ameen
Ae mere Ma'bood! hum sab musalmano ko apni zindagi me hi tujh se apne gunaho ki tauba karne ki taufeeq ata farma..- Ameen

Ae Allah! Hamare dilo aur zehan ko Sukoon ata kar, Hamare dilo ko paak kar de, har burayi se pak kar de.- Ameen
Ae Allah! hum sab musalmano ko tera ghar dekhna naseeb ho. tu hume apne ghar bula le ! � Ameen

Ae Allah! hum sab ki jaiz duain qubool farma. � Ameen

Ae mere Allah! besaharao ko sahara de de, kamzoro ko quwwat de, be-aulado ko aulad ata kar, bimaro ko shifa de, tangdastiyon ki tangdasti dur kar, roti ankhon ko khushiya dede, yateemo, miskeeno, zayifo aur bewao par apni rehmat nazil kar. � Ameen

Ae mere Maula, bichdon ko milade, ruthe hue ko manade,kadiyo ko qaid se riha kar de aur unhe apno se mila de, aur musalmano ko des aur perdes me chain, aman, salamati ata kar aur jo teri rah bhatak gaye hai unhe apni rah dikha de, zalimo ko saza de aur mazloomo ka insaaf kar�Ameen

Ae Allah! jo safar me hain unhe khairiyat se rakhiyo� Ameen

Ae Allah! duniya bhar me jitne bhi musalmaan mard aur aurat jinke ghar nahi base ya bas kar ujad gaye, un tamam logo ko jald se jald izzat ke saath naik jode ata farma � Ameen

Ae Allah! musalmano ko har aafat aur musibat se bacha le aur duniyan ki tamam mushkilaat door karde. Ae mere Parwardigaar ! hame duniya me bhi bhalai ata farma aur akhirat me bhi bhalai karna. � Ameen

Ae Arsh-e-Azeem ke Malik! Hum tere samne bahut Haqeer hain..Hum tere rehmat k qaabil bhi nahi! Per tu to saato asmaano ka malik hai aur sabka sunne wala, sabka faryadras! hum teri panaah mangte hai - apne nafz ke shar se, Shaitaan k shar se, kaafiro aur dushmanon ke fareb se, dajjal ke fitno se, maut ki sakhti se, Qabr ke azab se, Qayamat ki garmi se aur jahannam ki aag se. Ae mere Parwardigaar! Lailatul Qadr ke sadke mein hum sab musalmano ko in sab se bacha le. Ae Gafoor-ur-Raheem , Sirf tu hi hame bacha sakta hai aur tere siwa koi nahi jo hame bacha sake � Ameen

Ae mere pyare Rab, hum se itna imtehaan na le jo hum pura na kar sake! Hum par itna Bojh na daal jo hum seh na sake! � Ameen

Ae Allah! hame "la ilaalaha illallah" wali zindagi naseeb farma aur "la ilaalaha illallah" wali maut naseeb karna �Ameen

Ae Rabbe kareem! tere hi haato me hum sab ki jaan hai.Hamari maut asaan kar dena..marte waqt tu humse razi rehna..Ae Ma'bood, marte waqt hamari zabaan par KALMA-e-SHAHADAT ho. � Ameen

Ae Allah! Hamari Qabaro may kushadgi dena, Munkar aur nakeer ke sawalat ke waqt hamari madat farmana,Pulsirat per hum sabit kadam rakhe� Ameen

Ae Allah! Ae mere Malik, hamare namay aamal hamare dahine haath me ata karna - Ameen

Ae Allah! Aakhirat mein apna deedar naseeb karna, hamse mohabbat karne wale Rab ka hum sab musalmaan deedar kare. Jannat-ul-firdoos ke buland darjaat ata karma. � Ameen

Ae Allah! hamare marhumon ki maghfirat farma, inke qabron pe rehmat nazil farma, inki ruhon ko thandha rakh, inko buland darjaat ata kar, unhe Jahannum k azaab say bachale.. � Ameen

Ae Allah! Islam ka bol baala ho, musalmano ko deen, duniya me izzat aur salamati ata kar. � Ameen
Ae Rab! Hame apne maa baap ka sahara bana de! Ae Rab! Hume aisa bana k hum apne maa baap ka sar fakhar se ucha kare.Hum kabhi aisa kaam na kare jis se humare maa baap ka sir sharm say jhuk jaye.� Ameen

Ae mere pyare Rab! Yeh jo hath tere samne phelay hue hain yeh kisi aur k samne na phelwana! Yeh ansoo jo tere samne nikal rahe hain kisi aur k samne na nikle�ye sar jo tere aage jhuka hai kisi ke aage na jhuke� Ameen

Ae Allah! tere kul bandhonko pyare nabi ki shifa'at naseeb ho.Nabi kareem Sallallahu alehi wasallam jis terha khair ki dua e manga karte the, wo jis tarha panah wa hifazat ki duwaen maanga karte the, Mujhe aur tamam ummatiyon ko isme shamil karde � Ameen

Ae mere Allah, jiske liye tune zameen ko bhichoya asmaano ko chamkaya, zameen aur aasmano ki beech me jiske liye tune duniya banayi, Ae Allah, tere us habeeb ka wasta, hum fakeero ki jholi khushiyon se bharde. Ae mere Moula, hamari khatao ko maaf kar, beshak tere siva koi ma'bood nhi hai. Ae Allah hamare dua ko hamare Nabi k sadqe me qubool karle - Aameen...

Ae Allah! tu Rehmaan hai, Raheem hai, Kareem hai! hum per apni Rehmato ki barish karde. Ae Rabbe Qainat! Agar tu hum per apni rehmat nahi barsaega tu hum kahan jaenge? Mere maula, hum sab teri rehmat k mohtaj hain..humare amaal aise nahi k hum Roz-e-hashar me tera samna kar sake....beshak tu sab se zyada Raheem aur maaf karne wala hai..roze hashar k din hum ko apni rehmat ki chao me jaga dena..teri nazar-e-karam k bina hum bhatak jaenge.

Ae Rab! Hum bahut matlabi hai! Khudgarz hai! Jab zarurat hoti hai tabhi tuje yaad karte hain� jab apne ap ko bilkul dubta dekhte hain tabhi tere samne Girgirate hain! Tu Gafoor-ur-Raheem hai ..hame tab bhi zindagi deta hai, khushiya deta hai, hume sambhalta hai! Ae Rab! Hame maaf karde, Hamare gunah baksh de! Jo manga wo bhi ata kerdain.. jo nahi manga aur jo mangna chaheye tha who bhi ata kerdain� hamain dua mangna nahi ata per ap tu sab dilo k haal janta hain.. hum say razi ho ja.

Ae mere Badshah, tere darbaar to sab ke liye hai, kabhi koi khaali nahi jaata. bas tu hamari (meri) dua qubool karle aur humne jo tujse manga hai use poora karde.khuda tu apne bando ko kabhi na umeed nahi karta.Ae maa baap se bhi zyada shafeeq, dua sunle meri. - Ameen

Durood - 11 times



Replies:
Posted By: Flowersmai2
Date Posted: 18 July 2023 at 7:22am

 Salam Alaimkum, brothers and sisters, I  have terminal 4 cancer. I have all the official documents but more importantly I'm Muslim. 

As I am fighting this illness my ex-husband has kept my teenage child from me and drags in me into Family Court - monthly. He practices black magic. I'm not here to bad mouth him but I need help. It's expensive and my funds are depleted. I can't work because of my illness  and my heart is broken. Please,please make dua for me to heal, to get victory in the conclusion of my family court case. Please consider my humble request. May Allah SWT bless you.

If you know of any duas or support to help me with the above, please for the sake of Allah help me and share it.



Print Page | Close Window

Forum Software by Web Wiz Forums® version 12.03 - http://www.webwizforums.com
Copyright ©2001-2019 Web Wiz Ltd. - https://www.webwiz.net